Eik sard mausam main

Advertisement

Eik sard mausam main…

Wakt k andheron main…

Mai nay us say pucha tha…

Chor to na jao ge?

Hath tham kar us nay…

Kaan main yeh bola tha…

Kaisay chor sakta hon?

Tum to jaan ho meri!

Aur aaj aisa hai…

Wakt ke tamazat main…

Wehshaton k mausam main…

Main nay us say pucha hai…

Chor kar he jana tha…

Muskrati galiyon main…

Aas kyun dilai thi?

Pyas kyun jagai thi?

Meray in sawalon par…

Chalte chalte wo bola…

Mausmon ki aadat hai…

Waqt par badal jana…


| More

Related SMS - Text Messages: