Advertisement
1 Sheikh aksar kehta: Main ghulail banaon ga aur chirya maron ga… ghulail banaon ga, chirya maron ga…
1 din us ko paglon k doctor k pas lay gaye, us ka elaj kia aur thek ho gia…
Phir us say Dr. nay pocha: ab ja k kia karo gay?
Usnay kaha mai sab say pehlay shadi karon ga…
Dr. nay kaha: Bohat achay, phir?
Sheikh: Phir meray bachay ho jain gay.
Dr.: Good phir?
Sheikh: Phir unki birthday par achi c nekar aur shirt lay kar dun ga.
Dr.: fine, phir?
Sheikh: Phir unki nekhar say lastik nikalon ga… Phir ghulail banaon ga aur chirya maron ga…